Garm Hawa Ke Daur Main: Insaaf aur Jamhuriyat ke Sarokar

 

Author(s)  : Manoj Kumar Jha
ISBN : 978-93-87370-01-2
Lang.   Urdu
Format   Hardbound
Publisher

 

Read Sample page

 

Category:

300.00

2 in stock

Description

Kitaab ke baray mein

‘Garam Hawa ke Daur Mein’ Manoj kumar Jhaa ke muntakhib mazameen aur kalmon ka majmua hai. Un mazameen mein ahale siyasat ke liye aik mutabadil siyasi tarz e amal ka pegham hai, neez qaari ko dawat fikr di gayi hai jis par sanjidgi se ghaur kana halaat ki zaroorat hai. Kitaab mein mulk ke siyasi nizaam ke intikhabi mashware le kar un ke siyasi ravayye ka be laag tajzia paish kya gaya hai. Yah kitaab aik taraf mutabadil siyasat ki waqalat karte hue pasmandah tabqaat ki numaindagi karti hai, wahein doosri taraf hamaray taraqqi pasand siyasi virsay ki yaad dehani bhi karati hai . 

Musannif ke baray mein

Manoj Kumar Jha Rajaya Sabha ke rukn hain aur sath hi Dehli University ke shoba social work mein dars o tadrees ke faraiz bhi anjaam day rahay hain. Wah is se pehlay Jamia Millia Islamia ke social work shobay se bhi wabasta rahay chuke hain. Paolo fareere ki taleemi hikmat e amli mein yaqeen rakhnay walay Manoj Jha ne apni tadrisi zindagi mein tulba ke andar tanqeedi shaoor ko parwan chadhaya hai taaki wah aik insaaf pasad muashre ki taamir aur mazloom tabqaat ko ba ikhteyaar kane ke liye hakoomati nizaam ko amaada karen. Manoj Jha musalmano ki siyasi wa samaji numaindagi ke hawalay se bhi khaas taur par fikr mand hain . 

Faizan Mustafa

Faizan Mustafa ki ginti hindostan ke un awaami danishwaran mein hoti hai jo mulki masail ke gunjlak qanooni pehluo ko behad khoob soorati se ujagar karte hain. Mulk bhar mein law ke idaron aur mutadid cometiyon se wabasta Faizan Mustafa na sirf mulk ke policy saaz idaron aur afraad par apne ilm ki chhap chodhte hain balki awam ke beech bhi maqboliat rakhtay hain. Un ka youtube channel (Legal Awareness Web Series) kamyabi ki bulandiyon par hai. Wah fil-waqt law university Hyderabad ke Vice Chancellor hain.

Additional information

Author(s)

ISBN

Lang.

Urdu

Format

Hardbound

Publisher

Reviews

There are no reviews yet.

Only logged in customers who have purchased this product may leave a review.